Thursday, 22 April 2010

so sad



Roz mere dil ko yahin-kahin chod jaata hun,
Is laash jisam ko leke ghar ko mere laut jaata hun,
Is meri adhuri maut pe koi shaks bhi nahi rota,
Ab janaaze pe mere main akele hi jaata hun.

Is laash jisam ko leke ghar ko mere laut jaata hun.

Us ghar ke band darwaazo main deewarein saath mere roti hai,
Ab ashko ke nishaa deewaron se main mitata hun,
Koi meri tanhaai ko kabhi to aawaaz dega,
Cheekh-cheekh ke harr raat yuhin main so jaata hun.

Is laash jisam ko leke ghar ko mere laut jaata hun.

Wahan meri rooh bhi saath tere bethi hogi,
Is jisam ko jo main tere saamne chupaata hun,
Dekhta hun kaise dekhegi tu bhi mujhe zinda-murda,
Harr roz jo marr marr ke tere saamne main aata hun.

Is laash jisam ko leke ghar ko mere laut jaata hun

No comments:

Post a Comment